NAFRAT KE IS DOUR ME JEENA MUSHKIL HO GYA


Nafrat ke is dour me jeena mushkil ho gya
ab to ahatazaaj karna bhi lazmi ho gya
har shaakh par ullu baitha hai 
har gaddi par baitha shakhs gaddar ho gya 
Nafrat ke is dour me jeena mushkil ho gya

andheron ko mitana hai kahkasha ki roshni se
mombattiyon se kuch na hoga 
ab to mashaal jalana baki rah gya 
Nafrat ke is dour me jeena mushkil ho gya

julm ke khilaf sada ladne wale ham
taarikhiyon me khin na gum hone wale ham
hamari pehchan sada batane wali wo imaratem
lal qila taj mahal or chal minaren
Nafrat ke is dour me jeena mushkil ho gya

nafrat bachi hai kuch siyasi languron ke andar 
sadaqat nhi jante hamari wo kungar
koi jakar unko bataye e alam
ham rhe hai hamesha se is mulk ke sikandar 

ghar me apne mai paraya ho gya
Nafrat ke is dour me jeena mushkil ho gya


💕💕Spaicel thanks💕💕 
Write ✎✎ by Zishan alam  
Comp. and space by  the zishan s view
Trs. Google trs. 
Thanks for the visit







 

The zishan 's view

This is zishan alam .Writer .Poet.and Author of book Apne alfaaz .Social Activist. मुस्लिम का बेटा हूं हिंदू का भाई हूं लेकिन दीवाना हूं इंसानियत का

Post a Comment

Previous Post Next Post