The zishan's view

MUSLIM KA BETA HUN .HINDU KA BHAI HUN. LEKIN DIWANA HUN INSANIYAT KA

ABAR KI TRAH



Jo aaye the abar ki tarah meri zindagi mein.
wo thora baras ke kahi chale gye
kuch bunden hamari palkon par chhod gye
kuch hamari yadon me rah gye


bazm mein hamari zikr unka hota gya.
dil ne jab bhi pukara  naam unka aata gaya.
baraham hone lage ab we is tarah.
jaise agyaar ka saaya mandrata gaya.

haazat thi unko ab khatam ho gyi
pharamaish thi wo ab puri ho gyi.
na koi baat na koi jazbaat rahe.
mohobbat thi mahaz mazak bankar rah gyi

na ab sabe vishal ki chahat rahee.
na ab kaifiyat aisee rahee.
ek ikarar tha jo kahin kho gaya.
wo chand ki tarah chhup gyi.
aur mein sooraj ki tarah doob gaya.

na phir ve abar laut kar aaye.
na ve baras pae.
phir hamane yahee geet gunagunaye.
jo aaye the abar ki tarah meri zindagi mein
wo thora baras ke kahin chale gye.


💕💕Spaicel thanks💕💕 
Write ✎✎ by Zishan alam  
Comp. and space by  the zishan s view
Trs. Google trs. 
Thanks for the visit

Hindi me poetry padhne ke liye click kre


 

No comments

PURANI MOHBBAT

Purani mohbbat ko nye afwaoon se mat jodo  ye do dilon ka sangam hain iseaise he mat chhodo saath milkar khai thi tumne jo kasme ye janm jan...